Byju’s News:BYJU’S Nea ki 400 sea Jayda Employees ki छंटनी Bina Notice period Kea Phone Per Di Jarahi Jankari

Harsh Kumar

Harsh Kumar

Our Channels
byju's news

Content

Byju’s nea sankat ki ek nayi lehar paida kar di hai kyun ki unhonea achanak छंटनी ki ek aisi series shuru kar di hai. Jisea Employees ko issea bhoot bada jhatka laga hai. Ek company kea karmchari nea bataya ki 31 March ko company kea HR ki taraf se ek call aaya, jis mein unhea company kea kathit financial tanav kea karan tatkal barkhast ki information di gayi. Bataya ja raha hai ki company nea saikadon Employees ko job sea nikal diya hai aur unhea notice period serve karne ka mauka bhi nahi diya gaya hai.

byju's news

Company kea karmchari ne kaha ki jab tak vah puri baat ko samajh paate, HR ne apni baat kahkar phone kaat diya. Usne clear karne ke liye HR ko dobara call kiya lekin HR ne uska number block kar diya tha. Fire kiye gaye sabhi Employees ka lag bhag ek jaisa hi anubhav raha. Unhone kaha ki humein baat samajh hi nahi aayi ki achanak kya hua hai hamare sath.

byju's news

Salary receive honea mea ho sakti hai deri

Ek samay byju’s thi leading ed-tech company magar ab company financial crisis sea struggle karr rahi hai.haal hea mea company nea apnea Employees sea kaha hai ki march mahinea ki salary aanea mea ek baar phir vilamb ho sakta hai  . Byju’s kea management nea Employees ko bheje email mein isea sthiti ke liye interim order ko zimmedar thahraya hai. Yeh interim order February kea end mein kuchh foreign investors ne praapt kiya. Iskea tahat rights issue ke madhyam sea jutaye gaye paise ke upyog ko Restricted kiya gaya hai.

Bata dein ki Byju’s abhi aarthik Challenges se guzar rahi hai. Iske alawa company videshi investors ke sath legal dispute mein fansi hui hai. Company mein uncertainty ki Situation bani hui hai, jiski wajah sea karmchari asmanjas mein hain.

byju's news

Byju ne bina kisi purv soochana ke aur layoff ke liye standard process ko follow kiye bina hea Employeesko nikal diya hai. Aam taur par companies performance improvement plan aur notice period aadi ka dhyan rakhte hue aise faisale leti hain. Sootron ke anusar chhantni ke is daur mein 100 se 500 Employeesko unki bhumikaon se bahar kiya ja sakta hai.

Kitnea Employees kiye gaye bhaar

Sutro ki manea toh company kea nishanea par 100 sea 500 Employees hai . Apko yeh bhi baata dea kii company nea last two years mea kam sea kam 10,000 sea jayda Employees ko company sea nikala hai . छंटनी sea phele lag bhag 14000 Employees byju’s kea payrole pea thea.

Yeh puri ghataana Employees kea liye ek badi ashanka aur chinta ka vishay bani hui hai. Byju’s kea is achanak liye gaye faisale ne na sirf sabhi Employees ko, balki ed-tech industry ko bhi ek bhoot bada jhatka diya hai. Ise ghatna ne ek bahut badi baat saaf kar di hai ki aaj ke samay mein job security ek badi chunauti ban chuki hai, aur companies ko apne financial management mein sudhaar karne ki sakht zarurat hai. Employees aur unke parivar wale ise samay kafi pareshani aur tension mein hain, aur unka bhavishya adhura lag raha hai. Sabhi ummeed kar rahe hain ki Byju’s jaldi hea ise situation ka koi samadhan nikalega aur Employees kea favour mein decisions lega.

Angea yeh dekhna hoga ki company kaisea apnea financial crisis sea bhaar ati hai aur kaisea phisea leading ed-tech companies mea shamil hoti hai.

Note : yeh bharat ki pheli aisi news site hai jo hinglish mea likhe hue article publish karti ho please isea ko support karea orr hamare whatsapp channel ko join karen hinglish mea news sabsea phele panea kea liye.”news padhiye asaan bhasha mea”

Source:-https://www.india.com/hindi-news/technology/byjus-layoff-hundreds-of-employees-with-immediate-effect-notice-6831378/

Links:-Salman Khan Bracelet: Kaisea Prabhu Deva Nea Ki Thi Salman Khan Ki Masiha Bankar Help

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Share This Article

People Also Search